Wednesday, 18 May 2022

aansu

Shayad kuch Dino mai in Aansuon ki jagah na reh jaye... Bite din sapne se lagne lage... 
Jo Kal tha Vo kabhi nahi hoga Ab... 
Gum iska rahega ya jo Hum Ab hai Vo Kal na the iska... 
Darr lagta hai Khud se... 
Apne Purane Khud se... 
Darr hai Ki Ab Koi aur jagah na hogi... 
Aur Koi mauka shayad zindagi na degi.. 
Bohat kuch nagawara tha... 
Par Khud ko alag dhang se , sudharne ki kabhi nahi sochi... 
Socha to Bas... Kyu nahi?  Kyu aisa?  Mai Kyu? 
Khud ko pehle rakhna, Khud ka gussa... 
Kya Sirf seh Lena...  Kya Sirf Chup rehna hi har chiz ka jawab hai? 
Pyar kya hai?  Vo ehsaas jo Aapko Kamzor banaye?  Jo bebas rote hue bhi sath DE?  Acha na lage par alag hi ha sake.? 
Ya..  Ek Sahara jo hamesha sath nibhaaye, wafadari Ke sath ... 

No comments:

Post a Comment